Wednesday 6 June 2018

Tibb e Nabi


Allah Tala ne Aourat ko Mard ki Paishani se Nahi banaya k wo Mard par Hukmrani kare,
Aur na hi Mard k Paon se paida kiya k us ki Gulami kare Balke Allah ne Aourat ki Izzat aur Ehteram Badhane aur Dikhane k liye usai Mard ki Phasli se Paida kiya ta k wo Mard k Dil k Qareeb ho aur Rahe Nikah ko Aasan aur Zina ko Mushkil banao...
Nikah jo Sunnat hai is k liye Kharcha Lakho Rupiyo aur Burayi Chnd Hazaar Balke Chnd so main
Aksar Takheer Nikah bhi Zina ka Sabab ban jata hai aur is ka Azab Waldain par hota hai
(Imam Gazali radi allahu anhu )
Aoulad jo Gunah kare gi wo Waldain k hi sir
jayega, Apni Aoulad ki Shadi main Aasaniya
paida karo ye na socho k log kya kahenge k
Nikah Itni Saadgi se kyun kardiya, Waise bhiLog kisi haal main Aap se khush nahi ho
sakte. Khandano ki tabahi ka Ba’is: Allah Tala
ne Qur’an Majeed main Idol aur Naik Aourat ki
Nishani ye Batayi hai, Allah Tala Farmate hai:

Jin Aourton se Tum Nikah karna Chahte ho un
ki Khubiyo main se ye bhi hai k wo Paak
Daman Hon, Badkari karne wali na hon aur na
Khufya Aashnayi Karne wali hon". (Qur’an
4:25) (Aashnayi-Mohab bat, Dosti, Mard o
Aourat ka Najayez Talluq)
Ab ye hai k Ghar walon se Chup Chup kar
Telephone, Internet, Mobile, SMS, k Zariye Gair
Shariee Dostiyan ki jati hain Jis k Natayej ham
sab Bakhubhi daikhte hain Lihaza.
Mere Mohtaram Bhaiyyon khudara Nikah ko
Aasan banao aur Zina ko Chhod do ye sab
Zina ki Qismain hain, Allah Tala Qur’an main
Farmate hai: Khabardar Zina k Qareeb bhi na
phatakna kyun k wo Badi be Hayayi hai aur
Bahot hi buri Raah hai".(Qur'an 17:32),
Yani aisa koi Raasta Ekhtiyar na karo jo is taraf le
jaye.
Allah tala hum sab musalmano ko neik taofiq
de Aameen suma Aameen ya Rabul Aalameen
dua ke guzarish