Friday 4 May 2018

Roze se Sehhat Milti he (Bimari Roze sehri ki fazilat)

Imaam Aala Hazrat Rahmatullah Alay Irshaad Farmaate he
Ek Saal Ramzaan ul Mubaarak se Thoda Arsaa Qabl(Pehle) Waalide Marhum Hazrat Naki Ali Khan Rahmatullah Alay Khawaab me Tashreef Laaye Aur Farmaya Beta Ramzaan Shareef me Tum Shakht Beemaar ho Jaaoge, Magar Khyaal Rakhna Koi Roza Qaza Na hone Paaye, Chunanche Waalid Sahaab ke Hasbul Irshaad Waaqei Ramzaan ul Mubaarak me Shakht Beemaar ho gaye, Lekin Koi Roza Na Choota, Rozo hi ki Barkat se ALLAH TA’ALA Ne Mujhe Sehhat Ataa Farmaayi Aur Sehhat kyu Na Milti ke SAIYYADUL MAHBUBEEN Sallallaho Alayhe Wasallam ka Irshaad E Paak bhi to he ‘Roza rakho Sehhat mand ho Jaaoge.
Baaz Lougo ka Ye Tasawwur he ki Roza Rakhne se Insaan Kamzor ho kar Beemaar Pad jata he Haalaanki Aysa Nahi he Balki Roza Rakhne se to Sehhat Milti he..
Sahri ke Ta’aluq se HUZOOR REHMATE DO AALAM, SARWARE KOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ke Chand Irshaadaat..
 “Sahri Khaya karo Kyuki Sahri me Barkat he”.
“Hamaare Aur Ahle Kitaab ke Darmiyaan Sahri Khane ka Farq he”.
 “ALLAH AZZAWAJAL Aur Uske Farishte Sahri Khane waalo par Rahmat Naazil Farmaate he”.
 “HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Apne Saath Jab Kisi Sahaabi ko Sahri Khane ke liye Bulaate to Irshaad Farmaate “Aao Barkat ka Khana Khaa lo”.
 “Roza Rakhne ke liye Sahri Khaa kar Quwwat Haasil Karo Aur Din(Ya’ni Do-pahar) ke Waqt Aaram karke Raat ki Ibaadat ke liye Taaqat Haasil Karo”.
 “Sahri Barkat ki Chiz he Jo ALLAH TA’ALA ne Tumko Ataa Farmaayi he Is ko Mat Chhodna”.
 “3 Aadmi Jitna bhi Khaa le In Sha Allah Unse Koi Hisaab Na hoga Ba-Sarte ki Khana Halaal ho.
1) Rozaadaar Iftaar ke Waqt.
2) Sahri Khane waale.
3) Mujaahid Jo ALLAH TA’ALA ke Raaste me Sarhade Islaam ki Hifaazat kare”.
 “Sahri Poori ki Poori Barkat he Tum Na Chhodo Chaahe yahi ho ki Tum Paani ka Ek Ghunt Pee lo, Beshak ALLAH TA’ALA Aur Uske Farishte Rahmat Bheijte he Sahri Karne Waalo par”.
 “Hazrate Saiyyadna Irbaaz Bin Saariya RadiAllaho Ta’ala Anho Bayaan karte he ki Ek Baar Ramzaan ul Mubaarak me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Mujhe Apne Saath Sahri Khane ke liye Bulaya Aur Farmaya “Aao Mubaarak Khane ke liye””.

In Tamaam Faraamin se Hame Yahi Dars Milta he ki Sahri Hamaare liye Ek Azeem Ne’amat he Jis se Be Sumaar Jismaani Aur Roohani Fawaaid Haasil Hote

No comments:

Post a Comment